Pages

Wednesday, 4 January 2012

Sab Qarenay usi dildar kay rakh dety hain,

Sab Qarenay usi dildar kay rakh detay hain,
ham ghazal main bhi hunar yaar k rakh dety hain,
Shayad aa jayen kabhi chashm e kharidar main ham,
jan o dil baich k bazar main rakh dety hain,
Zikr e janaan main yeh duniya ko kahan le aye,
log kiun mas’alay baykaar kay rakh dety hain,
Zindagi teri amanat ha magar kya keejay,
Log yeh bojh bhi thak har k rakh dety hain,
Ham to chahat main bhi Ghalib k Mukallid hain faraz,
Jis pe marty hain usay maar kay rakh dety hain..!!

No comments:

Post a Comment