Pages

Tuesday, 27 December 2011

terey badan se jo chu kar idhar bhi aata hai

terey badan se jo chu kar idhar bhi aata hai
misaal e rung woh jhoonka, nazar bhi aata hai

tamaam shab jahaan jalta hai ik udaas dia
hawa ki raah main ik esa ghar b ata hai

woh muj ko toot k chaheyga , chor jayega
muje khabar thi usey yeh hunar bhi aata hai

ujaarrr ban main utarta hai ik jugnu b
hawa k saat koi humsafar bhi aata hai

wafa ki kon si manzil pe usney chora tha
k woh to yaad humain bhool kar bhi aata hai

jahan laho k sumandar ki had theharti hai
wahin jazeera e laal o guhar bhi aata hai

chaley jo zikar Farishton ki Paarsaayee ka
Tu zeer e behas muqaam e bashar bhi aata hai

abi siinaaa ko sanbhaaley rahain adow merey
k in saffon main kahin mera sar bhi aata hai

kabi kabi muje milney bulandiun se koi
Shuaa e Subah ki surat utar bhi aata hai

issi lie main kissi shab na so saka Mohsin
woh mahtaab kabi baam par bhi aata hai

Mohsin Naqvi

No comments:

Post a Comment