Pages

Tuesday, 27 December 2011

hum aseeraan e wafa

kis qadar sakht hai ay jaan e jahan hijar ki raat
koe awaz, na aahat, najeenay ka suraag
muhar ba lub hai khamooshi bhi barson se
channd taray hain falak par na zameen per hai chiraag
roshni bhi meri taqdeer se khay'ef hokar
meray aangan se bht door raha karti hai
habs itna hai k mu zoor hawa ki saansaen
meri dehleez ko choolen tou ukhar jati hain
aur aesay main sitam daekh ay jaan e jahan
zehan k band kiwaaron pe hai dastak saeta
zeena e shab se utarta teri yadoon ka hujoom
khushk patton se bikhartay teray wadoon ka hujoom
coocha e jana main yun he raat gaye phaelti hai
chand bikhray hoay,tootay hoay khuwabon ki kasak
jaesay sookhay hoay bey jaan gulaboon ki mehak
soch aesay main dar e yarr se thukraye hoay
apni saanson se bhi
dhadkan se bhi uktaye hoay
hum "ASEERAAN E WAFA",zehar e jafa khaye hoay
kis tarah jeenay ka samaan kia kartay hain??
aur har rooz meri jaan kia kartay hain..!!

mehreen ali

No comments:

Post a Comment