Pages

Thursday, 29 December 2011

Har ek zakham ka chehra gulaab jaesa hai

Har ek zakham ka chehra gulaab jaesa hai

magar ye jagta manzar bhi khuwab jaesa hai

ye talakh talakh sa lehja,ye taez taez si baat
mizaaj e yar ka aalam sharab jaesa hai
...
mera sukhun bhi chaman dar chaman shafaq ki phuwar
tera badan bhi mehaktay gulaab jaesa hai

bada taweel,nihayat haseen,bht mubhim
mera sawal tmharay jawab jaesa hai

tou zindagi k haqaae'q ki teh main yun na utar
k is nadi ka bahao chanab jaesa hai

teri nazar he nahi hurf e aashna warna
har ek chehra yahan per kitaab jaesa hai

chamak uthay tou samandar,bujhay tou raet ki lehar
meray khayal ka darya saraab jaesa hai

teray qareeb bhi reh kar na paasakon tujh ko
teray khayal ka jalwa habab jaesa hai..!!

No comments:

Post a Comment